Monday, May 16, 2016

Logon Mein Phaili 40 Galatfehmiyan (Last Part)

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Logon Mein Phaili 40 Galatfehmiyan (Last Part)


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Romanized By: Umar Asari

(31) Phoonk Se Chairag Bujhana:
Yeh Baat Shiah Kitaab “Jame’ al Akhbaar” Se Manqool Hai Jo Hamaray Liye Hujjat Nahi Hai. Chairag To Phoonk Se Hi Bujhaaya Jata Hai, Koi Dosray Tareeqay Se Bujhaye Is Mein Bhi Koi Harj Nahi Lekin Phoonk Se Chirag Bujhane Se Gareebi Aati Hai Yeh Sahih Nahi Hai.

(32) Bismillah Parhay Baghair Khana:
Khana Khatay Waqt Bismillah Kehna Wajib hai:
عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِذَا أَكَلَ أَحَدُكُمْ فَلْيَذْكُرْ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فَإِنْ نَسِيَ أَنْ يَذْكُرَ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فِي أَوَّلِهِ فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ
Tarjuma: Aisha Radhiallahu Anha Se Riwayet Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jab Tum Mein Se Koi Khana Khaye To Allah Ka Naam Le, Aur Agar Allah Taala Ka Naam Lena Shuru Mein Bhool Jaye To Kahe: بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ
Abu Daud: 3767 (Sahih)

Waqaee Bismillah Ke Baghair Khana Khana Nuqsan o Khasarey (Ghaatey) Ka Baees (Reason) Hai, Us Ke Khanay Mein Shaitan Shaamil Ho Jata Hai Is Liye Yeh Kaha Jaa Sakta Hai Ke Allah Ke Zikr Ke Baghir Mustaqil Khana Khanay Se Woh Khanay Ki Nemat Aur Us Ki Barkat Se Mahroom Ho Jayega Lekin Agar Bhool Se Aisa Ho Jaye To Allah Taala Ne Bhool Chook Ko Maaf Kar Diya Hai.

(33) Galat Qasam Khana:
Islam Mein Jhooti Qasam Khana Gunah e Kabeerah Hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ الْكَبَائِرُ الإِشْرَاكُ بِاللَّهِ، وَعُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ ‏"‏‏.‏ أَوْ قَالَ ‏"‏ الْيَمِينُ الْغَمُوسُ ‏"‏‏.
Tarjuma: Abdullah Bin Amr Radhiallahu Anhuma Se Riwayat Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Kabeerah Gunah Yeh Hain: Allah Ke Saath Kisi Ko Shareek Karna, Walidain Ki Nafarmani Karna Ya Farmaya Ki Nahaq Doosrey Ka Maal Lene Ke Liye Jhooti Qasam Khana.
(Sahih Bukhari: 6870)

Aisay Logon Ke Liye Dardnaak Azaab Hai, Is Liye Aik Musalman Ko Qataee Tour Par Jhooti Qasam Nahi Khani Chahiye. Agar Kisi Ne Sabiqa (Pichle) Kisi Muamlay Par Amadan (Jaan Boojh Kar) Jhooti Qasam Khayi Hai To Sachchi Tauba Karey, Agar Jhooti Qasam Ke Zariye Kisi Ka Haq Mara Ho To Us ko Uska Haq Wapas Karey Aur Agar Aindah Kisi Kaam Ke Na Karney Par Qasam Khayi Aur Woh Kaam Kar Liya To Qasam Ka Kaffara Ada Karey. Is Ka Kaffara Dus(10) Miskeeno Ko Ausat (Darmiyaani) Darjay Ka Khana Khilana Hai Jo Apney Ghar Walon Ko Khilate Hon Ya Isi Tarah Un Miskeeno Ko Kapray Dena Hai Ya Aik Gardan Yani Ghulam Ya Bandi Ko Aazad Karna Hai. Jisay Yeh Sab Kuch Na Miley To Woh Teen Din Roza Rakhay.

(34) Joota Chappal Ulta Dekh Kar Seedha Nahi Karna:
Islami Aitbaar Se Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamaney Mein Bhi Joota Tha Magar Aap Se, Sahaba e Kiraam Se Ya Chaaron Imam Se Is Qism Ki Koi Baat Manqool Nahi Hai
Ibn e Aqeel Hambli Ne Kitaab “Al-Funoon” Mein Likha Hai:
والویل لمن رأوه أكب رغیفا على وجهه،أو ترك نعله مقلوبة ظهرها إلى السماء۔
(الآداب الشرعیة1 /268-269)
Tarjuma: Barbadi Hai Us Ke Liye Jis Ne Ulti Hue Rooti Dekhi Ya Palta Howa Joota Jis Ki Peeth Aasman Ki Taraf Ho Usay Chorh Diya.
(Al-Aadaab Al-Shar’iyyah: 1/268-269)

Is Kalaam Mein Bohat Sakhti Hai, Quran o Hadees Ki Roshni Mein Is Kalaam Ki Koi Haisiyat Nahi Rehti.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Jootay Mein Namaz Parhtey They:
سَعِيدُ بْنُ يَزِيدَ الأَزْدِيُّ قَالَ سَأَلْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ أَكَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِي نَعْلَيْهِ قَالَ نَعَمْ
Tarjuma : Saeed Bin Yazeed Al-Azadi Kehtey Hain Ki Meiney Anas Bin Malik Radhiallahu Anhu Se Poocha Ki Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Apney Jooton Mein Namaz Padhtey They? Unhon Ne Kaha: Haan.
(Sahih Bukhari: 386 and 5850)

Zahir Si Baat Hai Jootay Mein Namaz Padhtey Hue Joota Palteyga.
Is Liye Ultay Jootay Ke Mutalliq Mazkoorah Baala (Upar Zikr Ki Hue) Baatein Karna Theek Nahi Hai Albatta Yeh Keh Satkey Hain Ke Chunkay Jootay Ke Nichaley Hissay Mein Gandagi Lagi Hoti Hai Is Wajah Sey Ultay Jootay Ko Palat Diya Jaye Taakay Log Us Se Ghinn Na Mehsoos Karen.

(35) Halaat e Janabat Mein Hajamat Karna:
Haalat e Janabat Mein Mard o Aurat Ke Liye Mehez (Sirf) Chand (Kuch) Cheezein Mana Hain, Un Mein Namaz, Tawaf, Masjid Mein Qiyam Aur Quran Ki Tilawat Waghera Hain. Baqiya Doosrey Kaam Junubi Anjaam Day Sakta Hai. Haalat e Janabat Mein Hajamat Ko Faqeeri or Gareebi Ka Sabab Batlana Ghir Islami Nazariya Hai.

(36) Makdi Ka Jala Ghar Mein Rakhna:
Yeh Baat Bhi Baatil or Mardood Hai. Is Baat Ki Nisbat Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Ki Jati Hai:
طهّروا بیوتكم من نسیج العنكبوت ، فإنّ تركه فی البیوت یورث الفقر
Tarjuma: Gharon Ko Makdi Ke Jaalon Se Saaf Rakha Karo Kiunkay Makdi Ke Jaalon Ka Ghar Mein Hona Iflaas (Gareebi) Ka Baais (Sabab) Hai.
Yeh Baat “Tafseer e Sa’labi” Aur “Tafseer e Qurtubi” Ke Hawaley Se Bayan Ki Jaati Hai Magar Us Ki Sanad Mein “Abdullah Bin Memoon Al-Qaddah” Matrook Muttaham Bil-Kazib Ravi Hai.
(Tehzeeb At-Tehzeeb: 6/44, 45)

(37) Raat Ko Jharoo Lagana:
Raat Ho Ya Din Kisi Bhi Waqt Jharoo Laga Saktay Hain, Is Ki Mumaniyat Ki Koi Daleel Nahi Hai, Na Hi Is Kaam Se Masiyat (Nafarmani) Hoti Hai. Is Liye Raat Ko Jhadoo Dena Tangdasti Ka Sabab Batlana Twahhum Parasti Aur Zeaf Aiteqaadi Hai. Musalmanoon Mein Barelly Tabqa Is Tawahhum Ka Shikaar Hai. Allah Taala Inhein Hidaayat De.

(38) Andheray Mein Khana:
Waisay Ujalay Mein Khaye To Achha Hai Magar Kisi Ko Ujaala Na Mil Sakay To Andheray Mein Khanay Mein Koi Harj Nahi Hai. Surah Hashr Mein Aik Ansari Sahabi Ka Zikr Hai Jinhon Ne Apney Mehman Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Andheray Mein Mehmani Karai Bawajood Ye Kay Chairag Maujood Tha Magar Unhon Ne Biwi Ko Chairag Bujhanay Ke Liye Kaha Taakay Andheray Mein Mehman Shikam Sair Ho Kar (Pait Bhar Kar) Khaye Aur Maizban Bhooka Rahay. Is Manzar Ko Allah Ne Bayan Kartey Hue Farmaya:
وَيُؤْثِرُونَ عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ
Tarjuma: Woh Apne Upar Dosron Ko Tarjeeh Detey Hain Go Khud Ko Kitni Hi Sakht Haajat Ho.

(39) Ghadey Mein Muh Laga Kar Peena:
Pani Ka Koi Bhi Bartan Ho Agar Muh Laga Kar Peena Aasaan Ho, Us Ka Hajam (Volume, Size) Bada Na Ya Us Ka Dahana (Muh) Kushadah Na Ho Jis Se Muh Mein Miqdaar Se Ziyada Pani Jaaney Ka Khatra Na Ho To Bartan Se Muh Laga Kar Piya Jaa Sakta Hai. Muttafaq Alaih (Means Bukhari or Muslim Ki) Aik Riwayet Mein Mashkezey Se Muh Laga Kar Pani Peenay Ki Mumaniyat Hai:
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، قَالَ: نَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ الشُّرْبِ مِنْ فِي السِّقَاءِ
Tarjuma: Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma Ne Bayan Kiya Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mashkezey Ke Muh Se Paani Peene Ko Mana Kiya Tha.
(Sahih Bukhari: 5629)

Is Ke Alawah Aik Doosri Hadees Hai Jis Se Sabit Ho Raha Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mashkezey Mein Muh Laga Kar Paani Piya Hai:
عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي عَمْرَةَ، عَنْ جَدَّتِهِ، كَبْشَةَ قَالَتْ دَخَلَ عَلَىَّ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَشَرِبَ مِنْ فِي قِرْبَةٍ مُعَلَّقَةٍ قَائِمًا فَقُمْتُ إِلَى فِيهَا فَقَطَعْتُهُ
Tarjuma:Kabshah Radhiallahu Anha Kehti Hain: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Mere Ghar Tashreef Laaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khaday Khaday Latki Hue Mashkezah Ke Muh Se Pani Piya, Fir Mein Mashkezah Ke Muh Ke Paas Gai Us Ko Kaat Liya.
(Tirmidhi: 1892) Hasan

Khulasa Ke Taur Par Yeh Kehna Chahoonga Ke Bartan Chota Ho To Us Mein Muh Laga Kar Pani Piyen, Bada Ho To Dosray Chootey Bartan Mein Undail Kar Piyen Aur Agar Baday Bartan Se Peenay Ki Zaroorat Pad Jaye To Is Mein Koi Harj Nahi.

(40) Quran Majeed Na Padhna:
Quran Padhnay Aur Amal Karney Ki Kitaab Hai Jo Us Se Doori Ikhtiyar Karta Hai Woh Waqaee Allah Ki Rehmat Se Door Ho Jata Hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Quran Padhnay Ka Hukm Diya Hai Is Se Imaan Mein Ziyadti, Ilm o Amal Mein Pukhtagi (Mazbooti) Aur Zindagi Ki Tamam Cheez Mein Barkat Aati Hai. Is Liye Quran Padhnay Ka Mamool Banayen Aur Samajh Kar Padhen. Jo Bina Samjhey Padhtey Hain Woh Quraan Ke Nuzool Ke Maqsad Se Bekhabar or Tilawat Ke Aadaab Se Na-Waqif Hain.

Hamarey Facebook Page Ko Like Karen:
Click Here 

Iska Pahla Or Doosra Part Hasil Karen:
Part-1
Part-2

No comments:

Post a Comment